Kese karu shukr ada tera aye zindagi
Itni thokar khane ke baad chalna na sahi
Sambhalna to sikh hi liya

Kese karu shukr ada tera aye zindagi
Itne dard zelne ke bad khusiyan na sahi
Ladna to sikh hi liya

Kese karu shukr ada tera aye zindagi
Itne sadmo ke baad mohabbat na sahi
Jang e tanhayi to sikh hi liya

Kese karu shukr ada tera aye zindagi
Itni khwahishon ke bad bulandiyan na sahi
Sapne dekhna to sikh hi liya

Kese karu shukr ada tera aye zindagi
Itni umeedon ke baad bhi manzil na sahi
Aakhri manzil to mil hi gayi
#zindagi

Hindi Blog by M. Sohil shaikh : 111426524

The best sellers write on Matrubharti, do you?

Start Writing Now