#Happy_friendship_day

Kitni tameez se mile the na hum
pehli mulakat me
Tab laga nahi tha hum
aese dost ban jayege baad me.

Ye 'Aap' se 'Tu' tak ka safar
kitne jaldi tay ho gaya na
Hum ek dusre ko itna kab se janne lage
hume pata bhi nahi chala na.

Humari roz baat na bhi ho
phir bhi roz ki tarah hi baat hoti hai
Badlaav nahi aata baaton me
chahe mulakatein thodi kam hi hoti hai

Ab humare kuch ishaare aese hai
jinhe humare alawa koi nahi samajh sakta
Log to aage bhi kayi milenge
par tere jesa dost mujhe mil hi nahi sakta

Shuruaat apni bilkul formal thi
ab humare bich personal bhi kuch nahi
Kyuki ek insaan to hota hi hai na
jise saari dastaan pata hoti hai
aur wo insaan mila tujhme hi.

Mere bolne se pehle
me kya kehne wala hu
kuch had tak pata chal jata hai tujhe
Janta to me bhuto ko hu wese
par jab sach me dost ki baat aati hai
to tera hi naam yaad aata hai mujhe.

Hum dost kese bane the yaad hai ?
mujhe to yaad nahi
Apne aap hi sab chalta gaya
peeche mud ke phir dekha hi nahi..

Hindi Poem by Atul Baghresh : 111737905

The best sellers write on Matrubharti, do you?

Start Writing Now