BETI KAR RAHI SWAAL...

Beti Bachao Beti Padhao,
Aaj kyun har Taraf yeh Naara hai...?
Jitna sansaar beto ko hai,
Utna kyun nahi humara hai...?
Kyun sadio se yeh reet chli aayi hai,
Bete ghar ke apne hai,
Par Beti kyun apni Praayi hai...??

“Bete agar jeev hai to sanjeevani hai Beti,
Bete ghar ka Deepak hai, to Deepti hai Beti...,”

Shri Ram se pehle Mata Sita (siyaram),
Shree Krishan se pehle Radha Rani (Radheykrishan),
Shree Hari Vishnu se pehle Mata Laxmi (laxminarayan),
Devi ke bina to Mahadev bhi adhure hai,
Yeh shashtro diya hume gyaan,
Jab shakti ka mehtav maante sb bhgwaan hai,
To tujhe kis baat ka abhimaan hai,
Tu to tuch ek insaan hai,

Chlo Rehndo Gyaan ki baatein,
Serious mudde par hai aatein,

“Agar aaj Beti nahi duniya mei laoge,
To kal apne bete kahan behaoge??
Tum bahu kahaan se laoge??
Tum bahu kahaan se laoge??
Tum apne vansh ka beej kahaan upjaoge..??
Tum bete kahaan se laoge??
Tum bete kahaan se laoge??
Kya apne vansh ka patan khud hi kr jaoge??
Jab Bete ki chaah mei tum aj Beti mitaoge...
to kal Bete kahaan se laoge??
Tum Bete kahaan se laoge...???


Aao sb milkar bdle yeh soch or yeh Naara,
Beta Beti dono ka brabar hai yeh sansaar sara,
Bdle uss reet ko jo sdiyo se chli hai..
Bete bhi apne ghar k hai or Apni Beti bhi nahi ab Praayi hai..
Janam le jab Beti ghar mei..
Sab kahe Bdhaai hai ji Bdhaai hai..
Beti ghar aayi hai ji apni Beti Apne Ghar aayi hai...

@deeptidilsediltak

Hindi Story by Deepti gupta : 111546188

The best sellers write on Matrubharti, do you?

Start Writing Now