Backbench wali baat hi alag thi,
sari mastiyan Vahi to ki thi ,
Chup Chup ke woh lunch khana,
teacher ke padhte Samay so jana,
Baten Karke jor se hansna
Pen fight wala game khelna
Khatarnak se "dare' bh Dena
Piche baith Awaaz Nikal ke
punishment se doston ko bachate,
black board per Naam Likhna ,
classes ki diwaron per bhi mil Jaega Naam sabka
Yad Piche chhodkar Jo Jaenge Ham Sab yahan se
Wapas Mud Ke Dekhenge Jab Rah Jaenge sirf Yaadein
Benches pe bhi Naam Honge
diwaron per Naam likhe the
unko Dekh Kar Khoob hasenge
Aankhon Mein Aansoo Honge
Doston Ko Ham Yad Karenge
itne Anokhe din hai school ke
college mein voh baat kahan
Ek Bar Jab chale gaye to
Wapas Fir Na Aa payenge Yahan

Hindi Poem by Anamika : 111278710

The best sellers write on Matrubharti, do you?

Start Writing Now