#kavyostav
#kavyostav

Topic-Pappa aur beti (rishte)

Mere sapne ko apna banaya
Mujhe udna sikhaya
Mujhe manzil tak pohchne ka raasta dikhaya
Uss raste pe chalte chalte apne mujhe girne de kab bachaya dekha hi nahi Pappa,

Khud ke pass char kapde kam Ho toh chalega par hamara cupboard kabhi khali n Ho iska hamesa Dhyan rakha
Hamesa trial room me price tag dekhkar kapde pasand karte ho
aur hame mehengi se mehengi chiz ke liye kabhi mana nahi kiya

Aap zameen aasman ek kar dete ho mere liye taaki Mere paas koi dukh aa na sake
Rab ki tarah meri har zeed puri karte Ho
Hamesa mera saaya banke chale
Mere liye toh kismat se Bhi lad jaatein Ho

Mere har sawaal ka javab Ho Tum
Main Gir paddy toh Himmat Ho Tum
Agar patang hu main toh Tum meri dor Ho
Har shararat mei partner Ho Tum
Mera sanman Ho Tum
Meri pehchan Ho Tum
Meri punji Ho Tum

Aapki ungli pakdakar chalna sikhe
Aapka gyan paakar jeena sikhe
Aapke kandhe pe chadkar udna sikhe

Sayad rab ne dekhkar bheja fal inn ache karmo ka
Uski rehmat uski nehmat
Yeh rab ki den hai mere pappa

Meri Himmat,Meri pehchan
Meri izzat ,Mere sanman
Mera San kuch Ho Tum

Hindi Shayri by Janvi Ganatra : 111035216

The best sellers write on Matrubharti, do you?

Start Writing Now